hama-jihat mirī talab jis kī misāl ab nahīñ
tirā ḳhayāl hai magar apnā ḳhayāl ab nahīñ
shauq kā bahr-e-be-karāñ mahv-e-sukūt-e-jāvedāñ
is meñ na koī josh ab is meñ ubaal ab nahīñ
ġham kī zamīñ pe āsmāñ baaqī rahā na ai miyāñ
dil kī ye sogvāriyāñ rū-ba-zavāl ab nahīñ
ab na harīm-e-nāz se hogā tulū āftāb
qurb-e-jamāl to gayā lutf-e-visāl ab nahīñ
duur hai rah habīb kī baat ye hai nasīb kī
jiinā muhāl ho gayā marnā muhāl ab nahīñ
raqs-kunāñ hai vaañ havas us pe rahī na dastaras
husn-e-malīh sākin-e-shahr-e-jamāl ab nahīñ
tere karam pe jī rahī kab se hai merī kaj-ravī
koī javāb ab nahīñ koī savāl ab nahīñ
le ke na.ī na.ī ġhazal aa hī ga.e 'farīd' ab
sun ai charāġh-e-anjuman terā zavāl ab nahīñ