Fareed Parbati

tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

Fareed Parbati

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1961-2011
tamannā apnī un par āshkārā kar rahā huuñ maiñ
jo pahle kar chukā huuñ ab dobārā kar rahā huuñ maiñ
shikast-e-ārzū arz-e-tamannā shauq-e-lā-hāsil
tirī ḳhātir to ye sab kuchh gavārā kar rahā huuñ maiñ
qafas meñ jī bahalne ke liye vo phuul rakh aa.e
hujūm-e-yās meñ jin par guzārā kar rahā huuñ maiñ
ġharaz us chiiz se mujh ko nahīñ merī na jo hogī
ye baa.is hai ki duniyā se kinārā kar rahā huuñ maiñ
maiñ khul kar kah nahīñ saktā niyāz-e-ishq kī bāteñ
faqat un kī taraf bas ik ishārā kar rahā huuñ maiñ
mire sar par hai baaqī ek saaya mere maazī kā
sambhal kar asr-e-hāzir kā nazārā kar rahā huuñ maiñ
'farīd' ik din sahāre zindagī ke TuuT jā.eñge
sabab ye hai ki ḳhud ko be-sahārā kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com