sikandar huuñ talāsh-e-āb-e-haivāñ roz kartā huuñ
abhī naqsh-o-nigār-e-zindagī meñ rañg bhartā huuñ
lagā kar sab lahū āḳhir hue dāḳhil shahīdoñ meñ
maiñ apnī laash raste se haTāne tak se Dartā huuñ
parā.ī aag gar hotī to kab kī jal bujhī hotī
maiñ hañste khelte mauj-e-havādis se guzartā huuñ
yaqīnan maut ke har aks par vo ḳhaak Dālegā
duā se jis kī maiñ ab tak na jiitā huuñ na martā huuñ
kabhī merī talab kachche ghaḌe par paar utartī hai
kabhī mahfūz kashtī meñ safar karne se Dartā huuñ
tumhārā izn ho hāsil to dariyā rāsta deñge
jahāñ fir.aun Duubā thā vahīñ pe paar utrā huuñ
'farīd' us kī talab mujh ko jhāñktī hai kueñ aksar
vo chehra jis kī chāhat meñ maiñ kyā kyā kar guzartā huuñ