aur kuchh is ke sivā ahl-e-nazar jānte haiñ
pagḌiyāñ apnī bachāne kā hunar jānte haiñ
ik sitāre ko ziyā-bār dikhāne ke liye
vo bujhā.eñge sabhī shams-o-qamar jānte haiñ
ḳhvāb meñ dekhte haiñ khiḌkiyāñ har ghar kī khulī
duur ho jā.egā ab shahr se Dar jānte haiñ
mezbānī thī kabhī jin meñ mayassar terī
palaT ā.eñge vahī shām-o-sahar jānte haiñ
tirī jholī meñ sitāre ye nahīñ girne ke
har talabgār kā vo tarz-e-nazar jānte haiñ
ye jo sustāne yahāñ aate haiñ sāhab ik din
saa.e ke saath vo māñgeñge shajar jānte haiñ
tez āñdhī se diye saare bachāne ko 'farīd'
ḳhud ko rakkhegā sar-e-rāhguzar jānte haiñ