dab ga.iiñ maujeñ yakāyak josh meñ aane ke ba.ad
miT ga.ī tūfāñ kī hastī mujh se Takrāne ke ba.ad
saḳhtiyāñ mere liye āsāniyāñ bantī ga.iiñ
shahsavār-e-karbalā kī yaad aa jaane ke ba.ad
dekh lī chashm-e-jahāñ ne quvvat-e-mazlūmiyat
Dhahā ga.e ḳhud zālimoñ ke ghar sitam Dhāne ke ba.ad
sa.ī-e-haq meñ mere māthe kā pasīna dekh kar
paanī paanī ho ga.iiñ maujeñ bhī lahrāne ke ba.ad
thī mire aane se pahle har taraf chhā.ī ḳhizāñ
sahn-e-gulshan meñ bahār aa.ī mire aane ke ba.ad
dāstān-e-ġhair meñ koī haqīqat thī agar
gard ho kar uḌ ga.ī kyuuñ mere afsāne ke ba.ad
chhoḌ kar tarz-e-fuġhāñ mahv-e-rajaz-ḳhvānī hue
naġhma-sanjān-e-chaman merī ġhazal gaane ke ba.ad
terā sho.ala phūñk saktā hai use maanā magar
soch le ai sham.a apnā hashr parvāne ke ba.ad
mujh ko aatī hai hañsī nāseh tirī is baat par
tū samajhtā hai ki maiñ samjhūñgā samjhāne ke ba.ad
ḳhaak uḌaa.ī yuuñ bagūloñ ne ki parda paḌ gayā
kaun jaane kyā huā sahrā meñ dīvāne ke ba.ad
āshiyāna jal gayā zulm-o-jafā-o-jaur kā
merī āh-e-ātishīñ ke 'barq' ban jaane ke ba.ad