Rahmat Ilahi Barq Aazmi

jis dar pe tera naqsh-e-kaf-e-pa na rahega

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1911-1983
jis dar pe tirā naqsh-e-kaf-e-pā na rahegā
rindoñ ke liye qābil-e-sajdā na rahegā
jaatā to hai us jalva-gah-e-nāz meñ ai dil
kyā hogā agar zabt kā yaarā na rahegā
parvāne ko phūñkā hai to ai sham.a samajh le
terā bhī kaleja kabhī ThanDā na rahegā
dīvāne ko zanjīr se gahrā hai ta.alluq
kyuuñ us ko tirī zulf kā saudā na rahegā
parvarda-e-tūfāñ hai mire dil kā safīna
sāhil kī tarah ye lab-e-dariyā na rahegā
jhuñjhlā ke kahā us ne ye ā.īna paTak kar
muñh is meñ jo dekhegā vo yaktā na rahegā
marne kī adāoñ se nahīñ 'barq' jo vāqif
rahte hue zinda bhī vo zinda na rahegā
Top Urdushayar.com