Rahmat Ilahi Barq Aazmi

pareshan karne walon ko pareshan kaun dekhega

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1911-1983
pareshāñ karne vāloñ ko pareshāñ kaun dekhegā
hamāre ba.ad ye rañg-e-gulistāñ kaun dekhegā
ba-juz mere ye dilchaspī kā sāmāñ kaun dekhegā
jalā kar dil ke dāġhoñ ko charāġhāñ kaun dekhegā
kise gulshan se itnā ishq hai merī tarah gulchīñ
qafas meñ rakh ke tasvīr-e-gulistāñ kaun dekhegā
use rañgīñ use sad-chāk honā chāhiye varna
tirā dāman mirā chāk-e-garebāñ kaun dekhegā
bajā.e sāġhar-e-mai tere maiḳhāne meñ ai saaqī
chaleñ jab botaleñ har-dam ḳhumistāñ kaun dekhegā
chaman ḳhud bāġhbāñ pāmāl kartā hai to hairat kyā
chaman to us ne dekhā hai bayābāñ kaun dekhegā
hakīm-e-vaqt huuñ maiñ hī agar gulshan se uTh jā.ūñ
to phir ai bāġhbāñ nabz-e-bahārāñ kaun dekhegā
bachā kar us ko rakkhā hai kaleje meñ ki phir tujh ko
jo chashm-e-ābla phūTī pashemāñ kaun dekhegā
duā.eñ kyuuñ na duuñ har dam nigāh-e-nāz-e-qātil ko
jo ye nashtar na ho sū-e-rag-e-jāñ kaun dekhegā
ġhanīmat ye bhī hai is daur meñ phir varna ai hamdam
janāb-e-'barq' sāhab sā suḳhan-dāñ kaun dekhegā
Top Urdushayar.com