Rahmat Ilahi Barq Aazmi

dil unki yaad se jo bahalta chala gaya

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1911-1983
dil un kī yaad se jo bahaltā chalā gayā
ġham aap apnī aag meñ jaltā chalā gayā
tū lā-makāñ hai to mirī manzil bhī be-nishāñ
tere liye chalā to maiñ chaltā chalā gayā
kāñTe jahāñ jahāñ pe mile rāh-e-ishq meñ
dāman bachā bachā ke nikaltā chalā gayā
nākāmiyoñ se kam na huā hausla mirā
Thokar lagī to aur sambhaltā chalā gayā
maujoñ ke ruḳh ko pher diyā maiñ ne bārhā
tūfāñ kā sar uThā to kuchaltā chalā gayā
ye jaan kar ki ġham hai tirī yaad kā sabab
maiñ har ḳhushī ko ġham se badaltā chalā gayā
ahl-e-zamāna gard ko merī na pā sake
har qāfile se duur nikaltā chalā gayā
ashyā haiñ 'barq' silsila-e-vahdat-ul-vajūd
sau sau tarah se naam badaltā chalā gayā
Top Urdushayar.com