Rahmat Ilahi Barq Aazmi

kuchh is tarah se guzari hai zindagi maine

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1911-1983
kuchh is tarah se guzārī hai zindagī maiñ ne
har ek saañs ko samjhā hai āḳhirī maiñ ne
samajh gayā vahīñ rāz-e-visāl jab dekhā
habāb terā ma.āl-e-shikastagī maiñ ne
karishma-e-mai-e-tauhīd ai ta.āl-allāh
surūr hai mire saaqī ko aur pī maiñ ne
lagā ke un kī mohabbat meñ jaan kī baazī
tamām daulat-e-kaunain jiit lī maiñ ne
kisī kā raaz samajhtā gayā jahāñ tak bhī
samajh meñ aayā ki samjhā na kuchh abhī maiñ ne
anā zabāñ se na kahte na daar par khiñchte
kiyā hai qahr ye mansūr aap kī maiñ ne
hai māvārā-e-suḳhan 'barq' guftugū merī
ḳhamosh rah ke bhī akasr hai baat kī maiñ ne
Top Urdushayar.com