Rahmat Ilahi Barq Aazmi

bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1911-1983
bahut raushan ham apnā nayyar-e-taqdīr dekheñge
jab āġhosh-e-tasavvur meñ tirī tasvīr dekheñge
harīm-e-dil ke girdā-gird vo tanvīr dekheñge
jalāl-e-mehr-e-anvar ko bhī be-tauqīr dekheñge
nigāh-e-dil se jis din usva-e-shabbīr dekheñge
ḳhalīlullāh apne ḳhvāb kī ta.abīr dekheñge
junūn-e-ishq ke ilzām meñ ai ḳhush-navā qumrī
gale meñ tū ne dekhā tauq ham zanjīr dekheñge
alam ho rañj ho ġham ho balā ho shādmānī ho
jo tū ne likh diyā ai kātib-e-taqdīr dekheñge
ḳhudā kī raah meñ sab kuchh luTā kar baiThne vaale
ḳhudā kī kul ḳhudā.ī apnī hī jāgīr dekheñge
mirā a.amāl-nāme dhul gayā ashk-e-nadāmat se
farishte kyā kareñge kuchh na jab tahrīr dekheñge
sitam-gāroñ ko mil jā.egā apne zulm kā badla
kabhī āh-e-ġharībāñ ko na be-tāsīr dekheñge
mohabbat hī binā ai 'barq' hai taḳhlīq aalam kī
mohabbat hī ko har aalam meñ ālam-gīr dekheñge
Top Urdushayar.com