kyuuñ na ham yaad kisī ko sahar-o-shām kareñ
ho na itnā bhī mohabbat meñ to kyā kaam kareñ
haa.e turbat pe marī naaz se kahnā un kā
aap leTe hue ab hashr tak ārām kareñ
is zamāne meñ tire bādiya-paimā bhī ajab
jam ke baiTheñ jo kahīñ misl-e-nagīñ naam kareñ
ka.aba-o-dair kā miT jaa.e jahāñ se jhagḌā
jalva-e-husn-e-haqīqat vo agar aam kareñ
shaiḳh-jī ye bhī koī baat hai maiḳhāne meñ
aap roza raheñ ham shaġhl-e-mai-o-jām kareñ
muft-ḳhorī kā tarīqa nahīñ achchhā sāhab
ham bhī kuchh kaam kareñ aap bhī kuchh kaam kareñ
aaj hī kyuuñ na gale mil leñ kise kal ma.alūm
ham kahāñ subah kareñ aap kahāñ shaam kareñ
aap kā naqsh-e-qadam pesh-e-nazar hai jin ke
sajda-e-shauq na kyūñkar vo ba-har-gām kareñ
hañs ke farmāte haiñ mujh āshiq-e-gumnām se vo
aap badnām jo ho jaa.eñ baḌā naam kareñ
sach to hai apnī hī ġhaflat ne hai rauñdā ham ko
kis liye ham gila-e-gardish-e-ayyām kareñ
mil ke gulchīñ se ye sayyād ne kī hai sāzish
phūñk kar sahn-e-chaman barq ko badnām kareñ