aa tire sañg zarā peñg baḌhā.ī jaa.e
zindagī baiTh tujhe chaa.e pilā.ī jaa.e
yaar bas itnā hī to chāhte haiñ ham tujh se
yaarī kī jaa.e to phir yaarī nibhā.ī jaa.e
jaisī hai jitnī hai auqāt se baḌh kar hai mujhe
kyuuñ zarūrat se sivā naak baḌhā.ī jaa.e
jab bhī maiñ kartā kah lete ho apne man kī
kabhī merī bhī sunī jaa.e sunā.ī jaa.e
ḳhvāb dikhlā.eñ magar ḳhvāb kī tābīr na deñ
bhaaḌ meñ aise ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī jaa.e