shahr meñ aa hī ga.e haiñ to guzārā kar leñ
ab bahar-hāl har ik shai ko gavārā kar leñ
DhūñDte hī rahe ghar meñ koī khiḌkī na milī
ham ne chāhā jo kabhī un kā nazāra kar leñ
apnī tanhā.ī kā ehsās adhūrā hai abhī
ā.īna toḌ deñ saa.e se kinārā kar leñ
apne jalte hue ehsās meñ tapte tapte
mom ban jaa.eñ yā apne ko sharāra kar leñ
zindagī tum se ibārat hai merī jaañ lekin
phir bhī hasrat hai yahī zikr tumhārā kar leñ