Shamim Abbas

baDi sard raat thi kal magar baDi aanch thi baDa taw tha

Shamim Abbas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1948
baḌī sard raat thī kal magar baḌī aañch thī baḌā taav thā
sabhī tāpte rahe raat bhar tirā zikr kyā thā alaav thā
vo zabāñ pe taale paḌe hue vo sabhī ke diide phaTe hue
bahā le gayā jo tamām ko mirī guftugū kā bahāo thā
kabhī mai-kada kabhī but-kada kabhī ka.aba to kabhī ḳhānqāh
ye tirī talab kā junūn thā mujhe kab kisī se lagāv thā
chalo maanā sab ko tirī talab chalo maanā saare haiñ jaañ ba-lab
pa tire maraz meñ yuuñ mubtalā kahīñ ham sā koī batāo thā
ye mubāhise ye munāzare ye fasād-e-ḳhalq ye intishār
jise diin kahte haiñ dīn-dār mirī ruuh par vahī ghaav thā
mujhe kyā junūn thā kyā patā jo jahāñ ko rauñdtā yuuñ phirā
kahīñ Tik ke maiñ ne jo dam liyā tirī zaat hī vo paḌāv thā
Top Urdushayar.com