tū kyā jaane terī bābat kyā kyā sochā karte haiñ
āñkheñ mūñde rahte haiñ aur tujh ko sochā karte haiñ
duur talak lahreñ bantī haiñ phailtī haiñ kho jaatī haiñ
dil ke baasī zehn kī jhiil meñ kañkar pheñkā karte haiñ
ek ghanā sā peḌ thā barsoñ pahle jis ko kaaT diyā
shaam Dhale kuchh panchhī haiñ ab bhī mañDlāyā karte haiñ
aksar yuuñ hotā hai havā.eñ ThaTThā maar ke hañstī haiñ
aur khiḌkī darvāze apnā siina piiTā karte haiñ
tū ne basā.ī hai jo bastī us kī bāteñ tū hī jaan
yaañ to bachche ab bhī ammāñ abbā khelā karte haiñ