ikkā dukkā shāz-o-nādir baaqī haiñ
apnī āñkheñ jin chehroñ kī aadī haiñ
ham baulā.e un ko DhūñDā karte haiñ
saare shahr kī galiyāñ ham par hañstī haiñ
jab tak bahlā paao ḳhud ko bahlā lo
āḳhir āḳhir saare khilaune miTTī haiñ
kahne ko har ek se kah sun lete haiñ
sirf dikhāvā hai ye bāteñ farzī haiñ
lutf sivā thā tujh se bāteñ karne kā
kitnī bāteñ nok-e-zabāñ pe Thahrī haiñ
tū ik bahtā dariyā chauḌe chakle paaT
aur bhī haiñ lekin naale barsātī haiñ
saare kamre ḳhālī ghar sannāTā hai
bas kuchh yādeñ haiñ jo taaq pe rakkhī haiñ