Shamim Abbas

shaki bad-zan aazurda hain mujhse mere bhai yar

Shamim Abbas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1948
shākī bad-zan āzurda haiñ mujh se mere bhaa.ī yaar
jaane kis jā bhuul aayā huuñ rakh kar maiñ goyā.ī yaar
ḳhāmoshī ke sahrā chuTkī meñ āvāzoñ ke jañgal
kitnī bastī ujḌī ham se kitnī ham ne basā.ī yaar
dekho nā-ummīdī ko aise Theñgā dikhlāte haiñ
aksar apne ghar kī kunDī ḳhud ham ne khaTkā.ī yaar
tanhā.ī meñ ab bhī koī bāloñ ko sahlātā hai
haath pakaḌnā chāheñ to ThaTThā maare purvā.ī yaar
aaj use phir dekhā jis ko pahroñ dekhā karte the
ab kuchh vo bhī maand paḌā hai kuchh apnī bīnā.ī yaar
achchhī bastī achchhā ghar achchhe bachche achchhe hālāt
jis ke dekho saath lagī hai ik ḳhvāhish ābā.ī yaar
ma.anī kī dhajjī bikhrī aur lafzoñ ke taane baane
raat taḳhayyul ne mastī meñ kī hañgām-ārā.ī yaar
Top Urdushayar.com