vo ek shaḳhs mire paas jo rahā bhī nahīñ
vo ḳhud ko duur kabhī mujh se kar sakā bhī nahīñ
nigāh jis kī mirī samt aaj tak na uThī
mire sivā vo kisī shai ko dekhtā bhī nahīñ
mire ḳhutūt to jhallā ke phaaḌ detā hai
ajiib baat hai purzoñ ko pheñktā bhī nahīñ
tamām vaqt hai vo mahv-e-guftugū mujh se
ye kaan jis kī sadāoñ se āshnā bhī nahīñ
hamāre siine meñ chhup jaa.e Dar ke duniyā se
vo jis ke lams ne ab tak hameñ chhuā bhī nahīñ
jidhar bhī dekhūñ vahī vo dikhā.ī detā hai
maze kī baat to ye hai ki vo ḳhudā bhī nahīñ