zamīñ chillā.ī chīḳhī bilbilā ke
na joñ tak reñgī kānoñ par ḳhudā ke
maiñ tere qahr ke sadqe ḳhudāyā
adhūre rah ga.e jumle duā ke
kurede raakh DhūñDe ḳhaak koī
sabhī nāpaid hai jab jal jalā ke
tamannā aarzū armān hasrat
parinde uḌ ga.e par phaḌphaḌā ke
paḌī hai zindagī Dhāñpe lapeTe
fanā dauḌe phire hai dandanā ke
phaTā mujh meñ phaTā ātish-fishāñ phir
haiñ siine meñ dhamākoñ par dhamāke