ye kaho ye na kaho aise kaho aise nahīñ
sun ai naqqād tirī god ke ham paale nahīñ
ham chhiḌe-chhāñT yak-o-tanhā adab kā maidāñ
koī ham-zulf nahīñ aur sasur saale nahīñ
momin o kāfir o mushrik na to murtad mulhid
apne DāñDe to kisī se bhī kahīñ milte nahīñ
rūkhī-phīkī sī kabhī chaTnī kahīñ saadī sī daal
apnī ġhazloñ ke muqaddar meñ sirī-pā.e nahīñ
baḌī nā-samjhī hai har shai kā samajh lenā bhī
zehn afkār se aarī hai agar jaale nahīñ
tuf hai un āñkhoñ pe jo ḳhud meñ ulajh kar rah jaa.eñ
vo nigah kyā jo yahāñ taake vahāñ jhāñke nahīñ
be-niyāzāna jiye jaate haiñ apnī dhun meñ
bāñkpan kho na kahīñ jaa.e nahīñ haa.e nahīñ