Shamim Abbas

nazar sameTen baTor kar intizar rakh den

Shamim Abbas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1948
nazar sameTeñ baTor kar intizār rakh deñ
jo us pe thā ab talak hameñ e'tibār rakh deñ
bas ek ḳhvāhish madār thī apnī zindagī kā
kisī ke hāthoñ meñ apnā dār-o-madār rakh deñ
tujhe jakaḌ le kabhī salīqa yahī nahīñ hai
hai jī meñ sab noch kar nigāhoñ ke taar rakh deñ
baḌī hī narmī se us kī āñkheñ musir huī thiiñ
ham us ke dāman meñ apnā saarā ġhubār rakh deñ
kabhī mirī zid jo kar le mujh hī ko le ke dam le
phir us ke aage zamāne bhar ko hazār rakh deñ
Top Urdushayar.com