Shamim Abbas

kabhi bhanwar thi jo ek yaad ab sunami hai

Shamim Abbas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1948
kabhī bhañvar thī jo ik yaad ab sunāmī hai
magar ye kyā ki mujhe ab bhī tishna-kāmī hai
maiñ us pe jaan chhiḌaktā huuñ bā-ḳhudā phir bhī
kahīñ hai kuchh mare bhītar jo intiqāmī hai
magar jo vo hai vahī hai bhalā kahāñ koī aur
hazār aib sahī maanā laakh ḳhāmī hai
jo jī meñ aayā vahī minn-o-an hai kāġhaz par
na sochā samjhā sā kuchh aur na ehtimāmī hai
kisī ke rañg rañgā maiñ na mere rañg koī
ye ibtidā.ī nayā Dhab to iḳhtitāmī hai
mulāhiza ho kahūñ kyuuñ tavajjoh kyuuñ chāhūñ
kalām kab hai mirā sher ḳhud-kalāmī hai
maiñ apnī moñchhoñ pe duuñ taav bhī to kis muñh se
yahāñ to jo bhī hai mujh se baḌā harāmī hai
Top Urdushayar.com