use na milne kī sochā hai yuuñ sazā deñge
har ek jism pe chehrā vahī lagā deñge
hamāre shahr meñ shakleñ haiñ be-shumār magar
tire hī naam se har ek ko sadā deñge
ham āftāb ko ThanDā na kar sake ai zamīñ
ab apne saa.e kī chādar tujhe oḌhā deñge
bhulā.e baiThe haiñ jis ko ham ek muddat se
gar us ne pūchh liyā to javāb kyā deñge
badan samet agar vo kabhī jo aa jaa.e
badan ko us ke badan apnā bā-ḳhudā deñge