Shamim Abbas

ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai

Shamim Abbas

Faizabad, Uttar pradesh, India

1948
ziyāñ gar kuchh huā to utnā jitnā suud hotā hai
yahī jo hast hai is pal yahī to buud hotā hai
tirī maujūdgī mahdūd kartī hai tujhe tujh tak
tū nā-maujūd hone hī pe lā-mahdūd hotā hai
jise dekho ba-zo.am-e-ḳhud hai Theke-dār jannat kā
kahīñ ik-ādh hī mujh sā koī mardūd hotā hai
sabhī gup-chup takā karnā but-e-be-his banā rahnā
ḳhudā tujh hī sā kyā sach-much mire ma.abūd hotā hai
vo pyāsā tarsā barsoñ kā thā aur maiñ rū-ba-rū us ke
bas ik chiñgārī ho to phir kahāñ bārūd hotā hai
to pal bhar meñ nadārat gum sabhī duniyā jahāñ aalam
maiñ us se aur vo mujh se jab badan-ālūd hotā hai
Top Urdushayar.com