aham āñkheñ haiñ yā manzar khule to
abhī haiñ band kitne dar khule to
to phir kyā haal ho bas kuchh na pūchho
jo bhītar hai vahī bāhar khule to
ḳhayāl o lafz haiñ dast-o-garebāñ
hai kam-tar kaun hai bartar khule to
sab apnī karnī mere mtthe mañDh dī
musir thā ḳhair ḳhud ki shar khule to
dikhā.ī degā kuchh kā kuchh sabhī kuchh
magar manzar kā pas-e-manzar khule to
kaḌī ham haiñ usī ik silsile kī
samundar umDe gar gāgar khule to
nadārat vus.ateñ sab rif.ateñ phir
paroñ meñ āsmāñ haiñ par khule to
maze kī niiñd ik lambī sī jhapkī
badan terā mirā bistar khule to