nūr-e-sahar kahāñ hai agar shām-e-ġham ga.ī
kab iltifāt thā ki jo ḳhū-e-sitam ga.ī
pherā bahār kā to baras do baras meñ hai
ye chaal hai ḳhizāñ kī jo ruk ruk ke tham ga.ī
shāyad koī asiir abhī tak qafas meñ hai
phir mauj-e-gul chaman se jo bā-chashm-e-nam ga.ī
qabze meñ josh-e-gul na ḳhizāñ dastaras meñ hai
rāhat bhī kab milī hai agar vaj.h-e-ġham ga.ī
haañ tarh-e-āshiyāñ bhī unhīñ ḳhār-o-ḳhas meñ hai
bijlī jahāñ pe ḳhaas ba-rañg-e-karam ga.ī
haañ shā.iba gurez kā bhī pesh-o-pas meñ hai
vo be-ruḳhī ki naaz kā thī jo bharam ga.ī
ab kā.enāt aur ḳhudāoñ ke bas meñ hai
ab rahbarī meñ qudrat-e-dair-o-haram ga.ī
jaadū ġhazal kā jazb-e-tamannā ke ras meñ hai
ya.anī vo dil kī baat diloñ meñ jo dam ga.ī