Mukhtar Siddiqui

phir bahaar aai hai phir josh mein sauda hoga

Mukhtar Siddiqui

Sialkot, Punjab, Pakistan

1917-1972
phir bahār aa.ī hai phir josh meñ saudā hogā
zaḳhm-e-derīnā se phir ḳhuun Tapaktā hogā
biitī bātoñ ke vo nāsūr hare phir hoñge
baat niklegī to phir baat ko rakhnā hogā
yūrisheñ kar ke umañD ā.eñgī suunī shāmeñ
laakh bhaTkeñ kisī unvāñ na saverā hogā
jī ko samjhā.eñge matvālī havā ke jhoñke
phir koī laakh sambhāle na sambhalnā hogā
kaisī rut aa.ī havā chaltī hai jī Doltā hai
ab to hañsnā bhī taḌapne kā bahānā hogā
TuuT jā.egā ye lāchāri-e-dā.em kā fusūñ
aur is tarah ki jaise koī aatā hogā
dil dhaḌakne kī sadā aa.egī sūne-pan meñ
duur bādal kahīñ parbat pe garajtā hogā
Top Urdushayar.com