vahī ik pukār vahī fuġhāñ mirī mohr-e-dīda-o-lab meñ hai
hai karāh jo shab-o-roz kī jo fazā ke shor-o-shaġhab meñ hai
kabhī din Dhale pe ho sāmnā kabhī diid āḳhir-e-shab meñ hai
hai yahī ma.āl-e-talab mirā tū mirī ibādat-e-rab meñ hai
kabhī fāsloñ kī masāfatoñ pe ubuur ho to ye kah sakūñ
mirā jurm hasrat-e-qurb hai to yahī kamī yahāñ sab meñ hai
sahar-e-azal ko jo dī ga.ī vahī aaj tak hai musāfirī
use tai kareñ to pata chale kahāñ kaun kis kī talab meñ hai
koī aur tarz-e-hayāt bhī mujhe ab rahīn-e-karam batā
ki hai baat merī giraftanī mirī chup bhī sū-e-adab meñ hai