shoḳh the rañg har ik daur meñ afsānoñ ke
dil dhaḌakte hī rahe aas meñ insānoñ ke
ilm ne ḳhair na chāhī kabhī insānoñ kī
zarre barbād yūñhī to nahīñ vīrānoñ ke
rāheñ shahroñ se guzartī rahīñ vīrānoñ kī
naqsh milte rahe ka.abe meñ sanam-ḳhānoñ ke
zindagī vālā-o-shaidā rahī farzānoñ kī
naam raushan hue har daur meñ dīvānoñ ke
maryamī morid-e-tohmat rahī armānoñ kī
TukḌe ik daftar-e-ilzām haiñ dāmānoñ ke
fikr sab ko hai rafū ke liye sāmānoñ kī
pūchhtā koī nahīñ haal girebānoñ ke
qadr kuchh kam to nahīñ ab bhī tan-āsānoñ kī
roz o shab aaj bhī bhārī haiñ girāñ-jānoñ ke