Mukhtar Siddiqui

thi to sahi par aaj se pahle aisi haqir faqir na thi

Mukhtar Siddiqui

Sialkot, Punjab, Pakistan

1917-1972
thī to sahī par aaj se pahle aisī haqīr faqīr na thī
dil kī sharāfat zehn kī jaudat itnī baḌī taqsīr na thī
sach kahte ho ham aise kahāñ aur soz-o-gudāz-e-ishq kahāñ
sach hai mire ā.īna-e-dil meñ koī kabhī tasvīr na thī
ab jo uchāT huī hai tabī.at shāyad ab ham ruḳhsat haiñ
bin-kāran be-bāt vagarna aisī kabhī dil-gīr na thī
ahl-e-junūñ ko fasl-e-ḳhizāñ se ab ke bhī go na rabt rahā
ab ke bahār vo aa.ī kī jis kī bū-e-gul bhī safīr na thī
āḳhir ġhairat ne samjhāyā nau-mīdānā ziist kareñ
baaqī har tadbīr to kī jo apne ḳhilāf-e-zamīr na thī
Top Urdushayar.com