raat ke ba.ad vo sub.h kahāñ hai din ke ba.ad vo shaam kahāñ
jo āshufta-sarī hai muqaddar us meñ qaid-e-maqām kahāñ
bhīgī raat hai suunī ghaḌiyāñ ab vo jalva-e-ām tamām
bandhan toḌ ke jā.ūñ lekin ai dil ai nākām kahāñ
ab vo hasrat-e-rusvā ban kar juzv-e-hayāt hai barsoñ se
jis se vahshat karte the tum ab vo ḳhayāl-e-ḳhām kahāñ
ziist kī rah meñ ab ham be-his tanhā sar-ba-girebāñ haiñ
kuchh ālām kā saath huā thā vo bhī nāfarjām kahāñ
karnī karte rāheñ takte ham ne umr gañvā.ī hai
ḳhūbi-e-qismat DhūñD ke haarī ham aise nākām kahāñ
apne haal ko jaan ke ham ne faqr kā dāman thāmā hai
jin dāmoñ ye duniyā miltī utne hamāre daam kahāñ