kī shab-e-hashr mirī shām-e-javānī tum ne
chheḌī kis daur kī kis vaqt kahānī tum ne
ma.ānī-o-lafz meñ jo rabt hai maiñ jaan gayā
khole is tarah se asrār-e-ma.ānī tum ne
merī āñkhoñ hī meñ the an-kahe pahlū us ke
vo jo ik baat sunī merī zabānī tum ne
merī tārīḳh ne daa.im tumheñ baaqī samjhā
rakkhā har daur meñ daa.im mujhe faanī tum ne
maiñ to har dhuup meñ sāyoñ kā rahā huuñ juuyā
mujh se likhvā.ī sarāboñ kī kahānī tum ne
merī har baat meñ sau aib the har aib meñ shāḳh
ye ġhanīmat hai mirī qadr bhī jaanī tum ne