bastiyāñ kaise na mamnūn hoñ dīvānoñ kī
vus.ateñ in meñ vahī laa.e haiñ vīrānoñ kī
kal gine jā.eñge zumre meñ sitam-rānoñ ke
ḳhair māñgeñge agar aaj sitam-rānoñ kī
ḳhvāb bātil bhī to hote haiñ tan-āsānoñ ke
sa.ī-e-mashkūr bhī hotī hai girāñ-jānoñ kī
zaḳhm shākī haiñ azal se namak-afshānoñ ke
baat rakkhī ga.ī har daur meñ paikānoñ kī
vo binā saaz bhī hote haiñ gulistānoñ ke
ḳhaak jo chhānte phirte haiñ bayābānoñ kī
TukḌe jo ginte haiñ TuuTe hue paimānoñ ke
jaan ban jaate haiñ āḳhir vahī mai-ḳhānoñ kī
tevar aate haiñ haqīqat meñ bhī afsānoñ ke
kuchh haqīqat bhī huā kartī hai afsānoñ kī
ho bhī jaate haiñ rafū chāk-girebānoñ ke
tañg bhī hotī hai pahnā.iyāñ dāmānoñ kī
ibrat-ābād bhī dil hote haiñ insānoñ ke
daad miltī bhī nahīñ ḳhūñ-shudā armānoñ kī
zarre zindān-e-malāmat bhī haiñ vīrānoñ ke
dar banā kartī haiñ dīvāreñ hī zindānoñ kī