āḳhir dil kī purānī lagan kar ke hī rahegī faqīr hameñ
har rut aate jaate paa.e ek hī shai kā asiir hameñ
dhuum machā.e bahār kabhī aur paat hare kabhī piile hoñ
har nairañgī-e-qudrat dekhe yaksāñ hī dil-gīr hameñ
kyā kyā pukāreñ sisaktī dekhīñ lafzoñ ke zindānoñ meñ
chup hī kī talqīn kare hai ġhairat-mañd zamīr hameñ
jin kī halkī gahrī talḳhī ḳhuun meñ rach rach jaatī hai
juzv-e-hayāt banāne paḌe haiñ vo ash.ār-e-'mīr' hameñ