thakan ko jaam kareñ aarzū ko baada kareñ
sukūn-e-dil ke liye dard kā i.aada kareñ
ubhartī Dūbtī sāñsoñ pe munkashif ho jaa.eñ
sulagtī garm nigāhoñ ko phir labāda kareñ
bichhā.eñ dasht-navardī junūñ kī rāhoñ meñ
firāq shahr-e-rifāqat meñ īstāda kareñ
tumhāre shahr ke ādāb bhī ajiib se haiñ
ki dard kam ho magar aah kuchh ziyāda kareñ
ye sard raat nigal legī sā.atoñ kā vajūd
jalā.eñ shāḳh-e-badan aur istifāda kareñ