bahut dushvār hai ab ā.īne se guftugū karnā
sazā se kam nahīñ hai ḳhud ko apne rū-ba-rū karnā
ajab sīmābiyat hai in dinoñ apnī tabī.at meñ
ki jis ne baat kī hañs kar usī kī aarzū karnā
ibādat ke liye tat.hīr-e-dil kī bhī zarūrat hai
vazū ke baad phir ashk-e-nadāmat se vazū karnā
ye vasf-e-ḳhās hai kuchh aap se bā-vasf logoñ kā
hameñ aatā nahīñ hai aap ko lamhe meñ tū karnā
tirī fitrat meñ yuuñ musbat ishāre DhūñDtā huuñ maiñ
kisī sahrā ko jaise chāhtā huuñ aabjū karnā