kātib-e-taqdīr mere haq meñ kuchh tahrīr ho
ranj ho yā shādmānī kuchh to dāman-gīr ho
āb-rūd-e-zīst ke kuchh ghūñT zahrīle bhī hoñ
maiñ ne kab chāhā thā har qatra mujhe iksīr ho
ahd-e-āzādī se behtar qaid-e-zindāñ ho to phir
toḌ dene kī qafas ko kyuuñ koī tadbīr ho
tez lahreñ aa hī jaatī haiñ miTāne ke liye
jab lab-e-sāhil gharauñdā ret kā tāmīr ho
ġham rahe pinhāñ dar o dīvār dil ke darmiyāñ
kyā zarūrī hai ki karb-e-zīst kī tash.hīr ho