jo ban-sañvar ke vo ik māh-rū nikaltā hai
to har zabān se bas allāh-hū nikaltā hai
halāl rizq kā matlab kisān se pūchho
pasīna ban ke badan se lahū nikaltā hai
zamīn aur muqaddar kī ek hai fitrat
ki jo bhī boyā vahī hū-ba-hū nikaltā hai
ye chāñd raat hī dīdār kā vasīla hai
ba-roz-e-īd hī vo ḳhūb-rū nikaltā hai
tire baġhair gulistāñ ko kyā huā 'ādil'
jo gul nikaltā hai be-rañg-o-bū nikaltā hai