Kausar Siwani

wo tujhko toD ke misl-e-habab kar dega

Kausar Siwani

Siwan, Bihar, India

1933
vo tujh ko toḌ ke misl-e-habāb kar degā
tirā ġhurūr tujhe aab aab kar degā
Thahar sakegī kahāñ shabnamī guhar kī chamak
bas ik nazar meñ fanā āftāb kar degā
kabhī to phailegī bāġh-e-hayāt meñ ḳhushbū
gulāb khil ke fazā ko gulāb kar degā
ruḳh-e-fareb pe Thahregī kyā naqāb-e-fareb
tirā fareb tujhe be-naqāb kar degā
na raas aa.egī ta.abīr-e-ḳhvāb-e-mustaqbil
ye vaqt ḳhvāb ke manzar ko ḳhvāb kar degā
dikhā ke chehra-e-māzī ke ḳhadd-o-ḳhāl tujhe
savāl-e-daur-e-ravāñ lā-javāb kar degā
jahāñ ko degī jo 'kausar' payām-e-amn-o-amāñ
adīb-e-vaqt raqam vo kitāb kar degā
Top Urdushayar.com