bhaTak jaate haiñ rahbar rahbarī meñ
kuchh aisī manzileñ haiñ zindagī meñ
patā kaise mile us lāpata kā
jo gum rahtā ho apne aap hī meñ
ḳhabar-dār ai mirī vahshat ḳhabar-dār
koī laġhzish na ho dīvāngī meñ
na yūñhī be-ḳhudī meñ gum hai koī
nihāñ rāz-e-ḳhudī hai be-ḳhudī meñ
farishte bhī samajhne se haiñ qāsir
bashar kyā hai libās-e-ādmī meñ
tumheñ hai raushnī par naaz lekin
nihāñ hai tīrgī bhī raushnī meñ
hasīñ taḳh.īl kī paikar-tarāshī
na ho 'kausar' to kyā hai shā.erī meñ