Kausar Siwani

sahil pe kya hai bahar ke andar talash kar

Kausar Siwani

Siwan, Bihar, India

1933
sāhil pe kyā hai bahar ke andar talāsh kar
gahrā.iyoñ meñ Duub ke gauhar talāsh kar
jis meñ hayāt-baḳhsh nazārā dikhā.ī de
gulzār-e-zindagī meñ vo manzar talāsh kar
dete haiñ ab sadā tujhe mirrīḳh o māhtāb
kyā kyā haiñ un kī god meñ jā kar talāsh kar
miT jaa.e jis ke nuur se zulmat hayāt kī
aisā koī charāġh-e-munavvar talāsh kar
tūfān-e-bahar-e-zīst meñ kashtī na ġharq ho
ai nāḳhudā panāh kā lañgar talāsh kar
jis dā.ere meñ dauḌ lagātā rahā hai tū
us dā.ere ke daur kā mehvar talāsh kar
'kausar' ho tujh ko ḳhud se jo milne kī aarzū
apne ko apne aap meñ kho kar talāsh kar
Top Urdushayar.com