dab ga.ī kyuuñ mirī āvāz kaho to kah duuñ
is bharī bazm meñ vo raaz kaho to kah duuñ
mere naġhmoñ ko sar-e-bazm tarasne vaalo
be-sadā kyuuñ hai mirā saaz kaho to kah duuñ
apne mohsin kā bhī ehsān bhulāne vaale
kis ne baḳhshā tumheñ e.azāz kaho to kah duuñ
kaise ġhairoñ ko milā gosha-e-pinhāñ kā surāġh
kaun nigarāñ thā daġhābāz kaho to kah duuñ
jab tumheñ apnī ġharaz thī to milā dī tum ne
kis kī āvāz meñ āvāz kaho to kah duuñ
jism-e-inkār pe iqrār kā rahtā hai libās
un kī guftār kā andāz kaho to kah duuñ
mujh meñ 'kausar' thī nihāñ tāqat-e-parvāz magar
kis ne kaaTe par-e-parvāz kaho to kah duuñ