Kausar Siwani

maut ko zist ki manzil ka pata kahte hain

Kausar Siwani

Siwan, Bihar, India

1933
maut ko ziist kī manzil kā patā kahte haiñ
rah-rav-e-ishq fanā ko bhī baqā kahte haiñ
ahl-e-vahshat kā na kuchh pochhiye kyā kahte haiñ
vo to apnā bhī kahā un kā kahā kahte haiñ
un ke kirdār kī azmat ko bhalā kyā kahiye
itne achchhe haiñ ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
qaid-e-guftār bhī hai bandish-e-raftār bhī hai
aise māhaul ko zindān-e-balā kahte haiñ
be-sadā barbat-e-ḳhāmosh ko kahne vaalo
sunñe vaale to ḳhamoshī ko sadā kahte haiñ
jo ghaTā chhā ke na barse vo ghaTā kyā hai ghaTā
haañ agar TuuT ke barse to ghaTā kahte haiñ
ahl-e-haq dekh ke ā.īna-e-hastī 'kausar'
aks kā haal jo kahte haiñ bajā kahte haiñ
Top Urdushayar.com