Kausar Siwani

sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana

Kausar Siwani

Siwan, Bihar, India

1933
sulā kar tez dhāroñ ko kināro tum na so jaanā
ravānī zindagānī hai to dhāro tum na so jaanā
mujhe tum ko sunānī hai mukammal dāstāñ apnī
adhūrī dāstāñ sun kar sitāro tum na so jaanā
tumhāre dā.ere meñ zindagī mahfūz rahtī hai
nizām-e-bazm-e-hastī ke hisāro tum na so jaanā
tumhīñ se jāgtā hai dil meñ ehsās-e-ravā-dārī
qayām-e-rabt-e-bāham ke sahāro tum na so jaanā
agar niiñd aa ga.ī tum ko to chashme suukh jā.eñge
kabhī ġhaflat meñ paḌ kar kohsāro tum na so jaanā
tumhīñ se bahr-e-hastī meñ ravāñ hai kashtī-e-hastī
agar sāhil bhī so jaa.eñ to dhāro tum na so jaanā
sadā-e-dard kī ḳhātir tumheñ 'kausar' ne chheḌā hai
shikasta-sāz ke bedār taaro tum na so jaanā
Top Urdushayar.com