Shariq Jamal

KHwab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujhko

Shariq Jamal

ḳhvāb aisā bhī nazar aayā hai akasr mujh ko
lagā jibrīl kā shahpar mirā bistar mujh ko
apne maqsad ke liye lafz banā kar mujh ko
koī dauḌātā hai kāġhaz kī saḌak par mujh ko
Das na le dekho kahīñ dhuup kā manzar mujh ko
tum ne bhejā to hai bal khātī saḌak par mujh ko
sab ko maiñ un kī kitāboñ meñ nazar aatā huuñ
log paḌhte haiñ tire shahr meñ ghar ghar mujh ko
kyuuñ na ghabrā.ūñ ki tanhā huuñ ghanā hai jañgal
duur se dekhe hai sannāTe kā lashkar mujh ko
kyuuñ na sahrā ko nichoḌūñ ki mirī pyaas bujhe
degā ik qatra na kanjūs samundar mujh ko
niiñd jab tak thī mirī āñkhoñ meñ mahfūz thā maiñ
qatl lamhoñ ne kiyā ḳhvāb se bāhar mujh ko
merī āñkhoñ ke dahakte hue shole pa na jā
sard kitnā huuñ samajh haath se chhū kar mujh ko
vo pighaltā hai ki 'shāriq' mirā tan jaltā hai
dekhe rakh kar koī sūraj ke barābar mujh ko
Top Urdushayar.com