Shariq Jamal

dikhai denge jo gul mez par qarine se

Shariq Jamal

dikhā.ī deñge jo gul mez par qarīne se
havā.eñ chheḌeñgī aa kar khule darīche se
ḳhalā meñ aaj sakūñ apnā DhūñDhtā hai vahī
bahal gayā thā jo bachcha kabhī khilaune se
tumhāre dil meñ hai ik karb sā kisī ke liye
ye baat ham ne paḌhī hai tumhāre chehre se
jale dil to yaqīnan laboñ pe hogī karāh
dhuāñ to phailegā jañgal meñ aag lagne se
fazā meñ sūrat-e-shāhīñ buland ho kar dekh
dikhā.ī deñge ye ūñche daraḳht chhoTe se
sunā.ī dī hai kahīñ kyā ḳhizāñ ke pānoñ kī chaap
ki phuul aaj haiñ gulshan meñ sahme sahme se
chalo ki pūchheñ kisī soḳhta-jigar se ye baat
gurez hotā hai kab aadmī ko jiine se
vafā na TūTne vaalī hai ek shai 'shāriq'
karo vafā ko na ta.abīr kachche dhāge se
Top Urdushayar.com