kyā zamīñ kyā āsmāñ kuchh bhī nahīñ
ham na hoñ to ye jahāñ kuchh bhī nahīñ
dīda-o-dil kī rifāqat ke baġhair
fasl-e-gul ho yā ḳhizāñ kuchh bhī nahīñ
pattharoñ meñ ham bhī patthar ho ga.e
ab ġham-e-sūd-o-ziyāñ kuchh bhī nahīñ
kyā qayāmat hai ki apne des meñ
e'tibār-e-jism-o-jāñ kuchh bhī nahīñ
kaise kaise sar-kashīda log the
jin kā ab nām-o-nishāñ kuchh bhī nahīñ
ek ehsās-e-mohabbat ke sivā
hāsil-e-umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
koī mauzū-e-suḳhan hī jab na ho
sirf andāz-e-bayāñ kuchh bhī nahīñ