tez hotī jā rahī hai kis liye dhaḌkan mirī
ho rahī hai rafta rafta aañkh bhī raushan mirī
zehn ke ḳhānoñ meñ jaane vaqt ne kyā bhar diyā
be-sabab hone lagī ik ek se an-ban mirī
jaise jaise gutthiyoñ kī Dor haath aatī ga.ī
kuchh isī raftār se baḌhtī ga.ī uljhan mirī
aisā lagtā hai ki merī saañs phir ghuT jā.egī
phir anā kī nok par uThne lagī gardan mirī
kyā koī saaya tulū hone lagā hai phir idhar
phir se kyuuñ hone lagī hai dūdhiyā chilman mirī