Ghazanfar

apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha

Ghazanfar

Gopal Ganj, Bihar, India

1953
apnī nazar meñ bhī to vo apnā nahīñ rahā
chehre pe aadmī ke hai chehra chaḌhā huā
manzar thā aañkh bhī thī tamannā-e-dīd bhī
lekin kisī ne diid pe pahra biThā diyā
aisā kareñ ki saarā samundar uchhal paḌe
kab tak yuuñ sat.h-e-āb pe dekheñge bulbula
barsoñ se ik makān meñ rahte haiñ saath saath
lekin hamāre biich zamānoñ kā fāsla
majma.a thā DugDugī thī madārī bhī thā magar
hairat hai phir bhī koī tamāshā nahīñ huā
āñkheñ bujhī bujhī sī haiñ baazū thake thake
aise meñ koī tiir chalāne kā fā.eda
vo be-kasī ki aañkh khulī thī mirī magar
zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biThā diyā
Top Urdushayar.com