Ghazanfar

tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge

Ghazanfar

Gopal Ganj, Bihar, India

1953
tārīkī meñ nuur kā manzar sūraj meñ shab dekhoge
jis din tum āñkheñ khologe duniyā ko jab dekhoge
dhīre dhīre har jānib sannāTā sā chhā jā.egā
so jā.eñgī rafta rafta āvāzeñ sab dekhoge
khambe saare TuuT chuke haiñ chhappar girne vaalā hai
buniyādoñ par jiine vaalo uupar tum kab dekhoge
shāyad tum bhī mere jaise ho jāoge āñkhoñ se
sahme chehre guñg zabāneñ zard badan jab dekhoge
vo to bāzīgar haiñ un kā maqsad khel dikhānā hai
tum to farzāne ho sāhib kab tak kartab dekhoge
pahle to sarsabz rahoge phir piile paḌ jāoge
jis din tum bhī rañg-nagar meñ surḳh koī lab dekhoge
baiThe baiThe ghar meñ yuuñ hī pal pal ghuT ghuT marnā hai
yā nikaloge ghar āñgan se jiine kā Dhab dekhoge
kal tak jo shaffāf the chehre āvāzoñ se ḳhālī the
āḌī-tirchhī surḳh lakīreñ un par bhī ab dekhoge
khambe to ye gaaḌ chuke haiñ rassī bhī ab tāneñge
ye bhī khel hī khuleñge in ke bhī kartab dekhoge
Top Urdushayar.com